Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 5 February 2020

Ek baar ek Sahabi RadiAllahu Anhu ko Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ka Aslaha mila aur uske dastey mein ek ruqaa mila jismein kuch likha huwa tha.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiyda hain

Ek baar ek Sahabi RadiAllahu Anhu ko Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ka Aslaha mila aur uske dastey mein ek ruqaa mila jismein kuch likha huwa tha.

Sawal: Usmein kaun kaun si baate likhi huwi thi?

A: kabhi kisi shakhs se koi cheez na maange
B: sach baat kehna chahe apne khilaaf he kuy na ho
C: Miskeen se mohabbat kare aur unke qareeb rehna 
D: jo tumse tute is ke saath milo
E: jo tumse burai kare tum isse neki karo
F: bhatkay huwe ko rasta dikhana
G: hamesha apne se kum ko dehkna aur khud ko behtar na samjhna

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**********************

Sahi Jawab - BDE✅

Reference📚"
------------
Ali RadiAllahu Anhe se riwayat hai unhone kaha jab mein ne Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ka Asleha liya apne qabze mein kya tu Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ki talwar ke dastay mein ek ruqaa mila is mein likha huwa tha jo tum se tute tum is ke saath milo, jo tum se buraiee kare tum is se neki karo, aur sach baat kaho chahay apne khilaaf he kyun nah ho.
--------
علیرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا: جب میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا اسلحہ لیا اپنے قبضے میں کیا تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی تلوار کے دستے میں ایک رقعہ ملا اس میں لکھا ہوا تھا :جو تم سے ٹوٹے تم اس کے ساتھ ملو،جو تم سے برائی کرے تم اس سے نیکی کرو، اور سچ بات کہو چاہے اپنے خلاف ہی کیوں نہ ہو
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 121

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...