Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Jo shakhs Emaan na laye aur iss baat ki gawahi na de ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Nabi hain....
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Allah jo shakhs tujh par Emaan laya aur is ne gawahi di ke mein tera Rasool hu, to usse apni mulaqaat mehboob karde is par apna faisla aasaan farma, aur duniya se usse thoda de, aur jo shakhs tujh par imaan nahi laaye aur gawahi nahi de ke mein tera Rasool hu to usse apni mulaqaat mehboob na kar, is par apna faisla aasaan na kar aur duniya se usse ziyada hissa de
---
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: O Allah, whoever believes in You and bears witness that I am Your Messenger, then make him your beloved. Make your decision easy for him, and give him a little of the world, and whoever does not believe in you and does not bear witness that
I am your Messenger, so do not make your meeting dear to him, do not make your decision easy on him and give him more share from the world.
----
فضالہ بن عبید رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اے اللہ جو شخص تجھ پر ایمان لایا اور اس نے گواہی دی کہ میں تیرا رسول ہوں، تو اسے اپنی ملاقات محبوب کر دے۔ اس پر اپنا فیصلہ آسان فرما، اور دنیا سےاسے تھوڑا دے، اور جو شخص تجھ پر ایمان نہ لائے اور گواہی نہ دے کہ میں تیرا رسول ہوں تو اسے اپنی ملاقات محبوب نہ کر ،اس پر اپنا فیصلہ آسان نہ کر اور دنیا سےاسے زیادہ حصہ دے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2803-Sahih
No comments:
Post a Comment