❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
❗Jawab ek se ziyada hai
Sawal: Mafhum mukammal karen Kaun kaunse amal ke sabab Allah Subhanahu bande ki khataien maaf karta hai yh uski burayion ka kaffara bana deta hai
A: Ilm hasil karna
B: Dard o Takleef
C: Thakawat
D: Ranj o Gham
E: Nawafil Ibadat
F: Beemari
G: Pareshani
H: Musafah karna
I: Nuqsaan
J: Maa Baap ki khidmat karna
K: kaanta chubna
L: Sahi Jawab ka intezaar
*************
Sahi Jawab - BCDFGIK✅
Jab Momeen ko koi bhi takleef pahuchti hai toh isske zariye Allah Subahnahu uski burayion ka kaffara bana dete hai
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Momeen jis dard o takleef, taab o thakaan, ranj o gham aur malaal o nuqsaan mein mubtila hota hai, yahan tak ke woh kaanta, jo is ko chubhta hai, Allah Subahnahu taala is ki wajah se is ki khataien maaf karta hai
-----
سیدنا ابو ہریرہ اور سیدنا ابو سعید خدری رضی اللہ عنہما بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: مؤمن جس درد و تکلیف، تعب و تکان، رنج و غم اور ملال و نقصان میں مبتلا ہوتا ہے، یہاں تک کہ وہ کانٹا ، جو اس کو چبھتا ہے، اللہ تعالیٰ اس کی وجہ اس کی خطائیں معاف کرتا ہے۔
-----
Musnad Ahmed#9358-Sahih
********
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi waSallam ne farmaya Momeen ko takan, thakawat, gham, beemari, takleef ya pareshan kar dene wala koi gham la-haq hota hai to Allah Subhanahu taala un aazmaishon ko is ki buraiyon ka kaffara banata hai
----
سیدنا ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: مؤمن کو تکان، تھکاوٹ، غم، بیماری، تکلیف یا پریشان کر دینے والا کوئی غم لاحق ہوتا ہے تو اللہ تعالیٰ ان آزمائشوں کو اس کی برائیوں کا کفارہ بناتا ہے۔
---
Musnad Ahmed#9360-Sahih
No comments:
Post a Comment