Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Duniya mein srif Museebat aur Azmaish baqi hain
-------
Muawiya Bin Abi Sufyan RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya duniya mein jo kuch baqi hai woh Museebat aur Azmaish hai aur tum mein se kisi shakhs ke amal ki misaal is bartan ki tarhan hai ki jab is ke uper wala hissa paak saaf ho to is ka nichala hissa bhi paak saaf hota hai aur jab is ka balai hissa gandah ho jaye to is ka nichala hissa bhi gandah ho jata hai.
---------
معاویہ بن ابی سفیان رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:دنیا میں جو كچھ باقی ہے وہ مصیبت اور آزمائش ہے۔ اور تم میں سے كسی شخص كے عمل كی مثال اس برتن كی طرح ہے كہ جب اس كے اوپر والا حصہ پاك صاف ہو تو اس كا نچلا حصہ بھی پاك صاف ہوتا ہے اور جب اس كا بالائی حصہ گندہ ہو جائے تو اس كا نچلا حصہ بھی گندہ ہو جاتا ہے۔
------------------------------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1229-Sahih
No comments:
Post a Comment