❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hai
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya insaan jo khel khailta hai wo sab baatil hai siwaye kuch khail ke jo durust hai wo kya hai
A: jung ke liye apne ghode ko addab sikhana
B: jung ke liye talwar baazi seekhna
C: kamaan se teer paikhna
D: apke gharwalo ko jihad ke addab shikhana
E: apne biwi se dil lagi karne ke liye khelna
F: Dushman ki taraf ek teer chalna
G: Apne bacho ke saath khelna
H: Sahi Jawab ka Intezaar
-------------------
Sahi Jawab - ACE✅
Teen khel khailna durust hai baki sab khel baatil hai
Reference📚:
------
Syedna Uqba bin Aamir RadiAllahu Anhu bayan karte hain Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : har woh cheez jis ke saath Insaan kheltaa hai woh baatil hai, ma siwaye iske ke aadmi kamaan se teer phainky, apne ghode ko aadaab jung sikhayiye ya apni biwi se dil lagi karne ke liye khailay, yeh teeno khail durust hain. phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya teer andazi seekhnay ke baad jo ussay bhulade, is ne is Nemat ki nashukri ki, jo is ko ataa ki gayi .
------
۔ سیدنا عقبہ بن عامر رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: ہر وہ چیز جس کے ساتھ انسان کھیلتا ہے۔ وہ باطل ہے، ما سوائے اس کے کہ آدمی کمان سے تیر پھینکے، اپنے گھوڑے کو آداب جنگ سکھائے یا اپنی بیوی سے دل لگی کرنے کے لیے کھیلے، یہ تینوں کھیل درست ہیں۔ پھر آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: تیر اندازی سیکھنے کے بعد جو اسے بھلادے، اس نے اس نعمت کی ناشکری کی، جو اس کو عطا کی گئی۔
----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed#7871
No comments:
Post a Comment