Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 4 March 2020

Insaan ka dil kab taq mustaqeem (yani seedha) nahi hota?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Insaan ka dil kab taq mustaqeem (yani seedha) nahi hota?

A: jab tak wo hasad karna na chordh de
B: jab tak wo apne bhai ke liye wo cheez pasand na kare joh khud ke liye na pasand ho
C: jab tak wo buri khawhishat tarq na kar de
D: jab tak wo apne padosi ke saath sila rehami se pesh na aaye
E: jab tak uski zuban seedhi na ho
F: jab tak wo apne nafs par kaabu na pa le
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: agar jawab “G” hai to sahi jawab likhiye!

*********

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
----
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se rivayat hai unhone kaha ke Rasool-Allah Salallahu Alahi Wasallam ne farmaya kisi bande ka Emaan is waqt taq durust / seedha nahi hota jab taq is ka dil mustaqeem (seedha) na ho aur is ka dil is waqt taq mustaqeem nahi hota jab taq is ki zabaan mustaqeem na ho, aur koi aisa aadmi Jannat mein daakhil nahi hoga jis ka padosi is ki shararaton se mehfooz na ho.
---
انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کسی بندے کا ایمان اس وقت تک درست/ سیدھا نہیں ہوتا  جب تک اس کا دل مستقیم (سیدھا)نہ ہو۔ اور اس کا دل اس وقت تک مستقیم نہیں ہوتا جب تک اس کی زبان مستقیم نہ ہو، اور کوئی ایسا آدمی جنت میں داخل نہیں ہوگا جس کا پڑوسی اس کی شرارتوں سے محفوظ نہ ہو۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 198

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...