Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 17 February 2020

Ek baar ek Sahaba ne irshad farmaya ke Agar wo cheez unke pass hoti toh wo unke liye saari duniya aur is ki har cheez se ziyada aziz hoti.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain!

Ek baar ek Sahaba ne irshad farmaya ke Agar wo cheez unke pass hoti toh wo unke liye saari duniya aur is ki har cheez se ziyada aziz hoti.

Sawal1: Wo kaunse sahabi thy?

A: Anas Radi Allahu Anhu 
B: Maaz bin Jabal  Radi Allahu Anhu 
C: Abu Munzir Radi Allahu Anhu 
D: Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu 
E: Ammar bin Yaseer Radi Allahu Anhu 
F: Abida Radi Allahu Anhu 
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal2: Wo kaunsi cheez ka zikr kar rahe thy?

A: Aap Sallalahu Alahi Wasallam ke moze
B: Aap Sallalahu Alahi Wasallam ka paseena (Mubarak)
C: Aap Sallalahu Alahi Wasallam ka daant (Mubarak)
D: Aap Sallalahu Alahi Wasallam ka khat (letter)
E: Aap Sallalahu Alahi Wasallam ke Baal (Mubarak)
F: Aap Sallalahu Alahi Wasallam ka chamdey ka farsh
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

***********

Sahi Jawab - F/E✅

Reference📚:
-----
Ibn Sirin Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey Abida Radi Allahu Anhu se kaha ki mere pass Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ke kuch Baal (Mubarak) hain jo humein Hazrat Anas radi Allahu Anhu se ya unkey Gharwalo ki taraf se miley hain ye sun kar Abida Radi Allahu Anhu ne kaha ki agar mere paas un baalon mein se ek baal bhi ho to wo mere liye sari Duniya aur uski har cheez se ziyada Azeez hai *
----
Narrated Ibn Sirin: I said to `Abida, "I have some of the hair of the Prophet (ﷺ) which I got from Anas or from his family." `Abida replied. "No doubt if I had a single hair of that it would have been dearer to me than the whole world and whatever is in it."
-----
Reference : Sahih al-Bukhari 170
In-book reference : Book 4, Hadith 36
USC-MSA web (English) reference : Vol. 1, Book 4, Hadith 171

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...