Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 22 January 2020

Sawal1: Mahfhum e hadith ke mutabiq Amal ke kitne qism hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai!

Sawal1: Mahfhum e hadith ke mutabiq  Amal ke kitne qism hain

A: 3
B: 4
C: 5
D: 6
E: 7
F: 9
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal 2 : Wo kaunsa aamal hai jismein 700 guna tak ajar milta hai?

A: kisi bhuke musafir ko khana kilana
B: Raste se takleef de cheez ka hatana
C: Achchi baat kehna
D: Allah ke raste mein koi cheez karch karna
E: Padosi ka haqq adda karna
F: Logo ko maaf karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh sahi jawab likiye!

**************************

Sahi Jawab - DD✅

Reference📚:
---------
Khuram bin Fatek Asri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya log chaar qisam ke hain aur Aamaal chay (6) qisam ke. Logon mein ek jaise duniya wa Akhirat mein farakhi de gayi, dusra woh jisay duniya mein farakhi aur akhirat mein mohtaji di gayi, teesra woh jisay duniya mein mohtaji aur akhirat mein farakhi di gayi, chautha woh jo duniya wa Akhirat mein bad bakht hai, aur aamaal ( 1 ) aur (2) wajib karne walay hain, (3) aur (4) barabar barabar hain, panchawan das guna aur chhata saatva saath so guna tak. (1) aur (2) jo wajib karne walay hain, woh yeh hain ke jo musalman shakhs imaan ki haalat mein mara aur is neh Allah ke saath Shirk nahi kiya iske liye Jannat wajib hogayi, aur jo shakhs Kafir ki haalat mein mara is ke liye aag wajib hogayi. (3) aur (4) Jis shakhs neh neiki ka iradah kiya aur neiki nahi ki aur Allah Subhanahu taala ko maloom hai ke is neh dil mein iradah kiya tha aur amal karne par harees tha, is ke liye ek neiki likh di gayi, aur jis shakhs ne kisi buraiee ka iradah kiya woh likhi nahi jayegi, aur jis shakhs neh buraiee kar li is ke liye ek he burai likh di jayegi, is se ziyada nahi. (5) jis shakhs neh koi neki ki wo dus (10) guna tak hai. (6) aur jis shakhs neh Allah ke rastay mein koi cheez kharch ki is ke liye saat sav (700) guna tak hain.
--------------
خریم بن فاتك اسدی‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: لوگ چار قسم كے ہیں اور اعمال چھ قسم كے۔ لوگوں میں ایك جسے دنیا وآخرت میں فراخی دی گئی، دوسرا وہ جسے دنیا میں فراخی اور آخرت میں محتاجی دی گئی، تیسرا وہ جسے دنیا میں محتاجی اور آخرت میں فراخی دی گئی، چوتھا وہ جو دنیا وآخرت میں بد بخت  ہے، اور اعمال (١) اور (٢) واجب كرنے والے ہیں، (٣) اور (٤) برابر برابر ہیں، پانچواں  دس گنا اور چھٹا سات سو گنا تك۔ ١  اور ٢: جو واجب كرنے والے ہیں،وہ یہ ہیں كہ جومسلمان شخص ایمان كی حالت میں مرا اور اس نے اللہ كے ساتھ شرك نہیں كیا اس كے لئے جنت واجب ہوگئی، اور جو شخص كفر كی حالت میں مرا اس كے لئے آگ واجب ہوگئی۔ ٣ اور ٤: جس شخص نے نیكی كا ارادہ كیا اور نیكی نہیں كی اور اللہ تعالیٰ كو معلوم ہے كہ اس نے دل میں ارادہ كیا تھا اور عمل كرنے پر حریص تھا، اس كے لئے ایك نیكی لكھ دی گئی، اور جس شخص نے كسی برائی كا ارادہ كیا وہ لكھی نہیں جائے گی، اور جس شخص نے برائی كر لی اس كے لئے ایك ہی لكھی جائے گی، اس سے زیادہ نہیں۔٥: جس شخص نے كوئی نیكی كی وہ دس گنا تك ہے۔٦: اور جس شخص نے اللہ كے راستے میں كوئی چیز خرچ كی اس كے لئے سات سو گنا تك ہے۔( )

----------------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1125

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...