Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 2 September 2020

Ek baar Allah Subhanahu ne apne Fariston se kaha Mere liye Mere bandon ko bulao Fariston ne jawab diya ke wo kaise bula sakte hai jabke saath asmaan aur Arsh beech mein haail hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Ek baar Allah Subhanahu ne apne Fariston se kaha Mere liye Mere bandon ko bulao Fariston ne jawab diya ke wo kaise bula sakte hai jabke saath asmaan aur Arsh beech mein haail hain


Sawal: wo kaunsa amal hai jiska zikr Allah Subhanahu ne kiya


A: Sayyadul Astagfaar padne se

B: Kalma Sahadat ka iqrar karne se

C: La illaha ilallaha kehne se

D: Sajda karne se

E: Takbeer kehne se

F: Surah Ikhlas padne se

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar


Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye


**************


Sahi Jawab - C✅


La illaha illallaha kehne se Allah Subhanahu apne bandon ko jawab dete hain


 Reference📚:

----

Saabit RadiAllahu Anhu kehte hain : shaam ke Ek bashinde ne hamein bayan kiya, woh aadmi syedna Abdullah bin Umro bin Aass RadiAllahu Anhu ke saath rehta aur un ki baten sunta tha, woh kehta hai Ek din mein un ke saath tha ke woh nauf ko miley, nauf ne kaha hamein yeh baat batlai gayi hai ke Allah Subhanahu taala ne firshton se kaha mere liye mere bundon ko bulao unhon ne kaha Eh RABB! un ko kaise bulaya jaye, jab ke un ke samne saat aasman haail hain aur un ke uper Arsh hai? Allah Subhanahu taala ne kaha jab woh Laa illaha illallaha kahenge to woh jawab denge

------

 ۔ ثابت کہتے ہیں: شام کے ایک باشندے نے ہمیں بیان کیا، وہ آدمی سیدنا عبد اللہ بن عمرو بن عاص  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کے ساتھ رہتا اور ان کی باتیں سنتا تھا، وہ کہتا ہے: ایک میں ان کے ساتھ تھا کہ وہ نوف کو ملے، نوف نے کہا: ہمیں یہ بات بتلائی گئی ہے کہ اللہ تعالیٰ نے فرشتوں سے کہا: میرے لیے میرے بندوں کو بلاؤ، انھوں نے کہا: اے ربّ! ان کو کیسے بلایا جائے، جبکہ ان کے سامنے سات آسمان حائل ہیں اور ان کے اوپر عرش ہے؟ اللہ تعالیٰ نے کہا: جب وہ لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ کہیں گے تو وہ جواب دیں گے۔ 

-----

Musnad Ahmed#5431-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...