Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 1 July 2020

Jab Allah Subhanahu kisi qaum ki taraf muskurata hai toh kya hota hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Mafhum mukammal kijiye!

Hadith: Jab Allah Subhanahu kisi qaum ki taraf muskurata hai toh kya hota hai

A: Rizaq mein barkat
B: Azmaish se hifazat
C: Unke liye duniya aur akhirat dono mein Jannat ka intezaam farma deta
D: Unko logo mein mehboob bana deta hai
E: Un ko apne hesab se mehfuz farma deta hai
F: Unke sageera aur kabira gunah maaf farma deta hai aur Jannat ki zamanat deta
G: Inmien se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

********************

Sahi Jawab - E✅

Jab Allah Subhanahu kisi Qaum ki taraf muskurata hai toh un par koi hisaab nahi hota

Reference📚:
-----
Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Qayamat ke din Allah Subahnahu ke haan Afzal jihaad (karne wale) woh log honge jo pehli saff mein takrate hain aur qatal hone taq mudd kar nahi dekhte yahi log hain jo Jannat mein buland mehlaat mein daurte phrenge tumhara RABB un ki taraf dekh raha hoga yaqeenan tumhara RABB jab kisi qaum ki taraf dekh kar muskurata hai to un par koi hisaab nahi
---
 ابو سعید خدری ؓسے مرفوعاً مروی ہے کہ: قیامت کے  دن اللہ کے ہاں افضل جہاد  ( کرنے والے )  وہ لوگ ہوں گے جو پہلی صف میں ٹکراتے ہیں اور قتل ہونے تک مڑ کر نہیں دیکھتے یہی لوگ ہیں جو جنت میں بلند محلات میں دوڑتے پھریں گے تمہارا رب ان کی طرف دیکھ رہا ہوگا یقیناً تمہارا رب جب کسی قوم کی طرف دیکھ کر مسکراتا ہے تو ان پر کوئی حساب نہیں
---
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2048-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...