Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 13 May 2020

Shab E Qadr ki kya kya fazilate bayan ki gayi hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai

Sawal: Shab E Qadr ki kya kya fazilate bayan ki gayi hai

A: Is Raat Jibraeil alaihi Salam aur Fatishte utarte hain
B: Ye Raat ek hazaar raaton se behtar hai 
C: Is Raat ko sawab ki Niyyat se ibadat mai guzarne wale k pichle gunah bakhsh diye jatay hain
D: Is Raat zameen pe farishton ki Taadaad kankarion ki tadaad se zayda hoti hai
E: Ye Salamti wali Raat hai
F:  Is Raat har mazboot kaam ka faisla kiya jata hai
G: Is Raat zameen pe farishton ki Taadaad Asmaan ke sitaron ki tadaad se ziada hoti hai
H: Is Raat Quran Nazil huwa
I: Ye Raat ek Hazaar Mahino se behtar hai
J: Ye Ba-Barkat raat hai

K. Sahi Jawab ka Intezaar


************************
Sahi Jawab - ACDEFHIJ ✅

Reference📚

اِنَّاۤ  اَنۡزَلۡنٰہُ  فِیۡ  لَیۡلَۃِ  الۡقَدۡرِ ۚ﴿ۖ۱﴾ 

Yaqeenan hum nay issay (Quran Pak ko) shab qadar mein nazil farmaya.

Indeed, We sent the Qur'an down during the Night of Decree. 

یقیناً ہم نے اسے شب قدر میں نازل فرمایا ۔ 
---------------
وَ مَاۤ  اَدۡرٰىکَ مَا لَیۡلَۃُ  الۡقَدۡرِ ؕ﴿۲﴾ 
Tu kiya janey kay shab qadar kiya hai.

And what can make you know what is the Night of Decree? 

تو کیا سمجھا کہ شب قدر کیا ہے؟ 
----------------
لَیۡلَۃُ  الۡقَدۡرِ ۬ ۙ خَیۡرٌ  مِّنۡ  اَلۡفِ شَہۡرٍ ؕ﴿ؔ۳﴾

Shab qadar ek hazar maheeno sy behter hai.

The Night of Decree is better than a thousand months. 
شب قدر ایک ہزار مہینوں سے بہتر ہے ۔ 
--------------
تَنَزَّلُ الۡمَلٰٓئِکَۃُ وَ الرُّوۡحُ  فِیۡہَا بِاِذۡنِ رَبِّہِمۡ ۚ مِنۡ  کُلِّ  اَمۡرٍ ۙ﴿ۛ۴﴾ 

Iss (mein her kaam) kay siranjam denay ko apney rab kay hukum say farishtay aur rooh (Jibrael) utarte hain.

The angels and the Spirit descend therein by permission of their Lord for every matter. 

اس ( میں ہر کام ) کے سر انجام دینے کو اپنے رب کے حکم سے فرشتے اور روح ( جبرائیل ) اترتے ہیں ۔ 

-----------
سَلٰمٌ ۟ ۛہِیَ حَتّٰی مَطۡلَعِ  الۡفَجۡرِ ٪﴿۵﴾ 
Yeh raat sarasar salamti ki hoti hai aur fajar kay tuloo honay tak (rehti hai). 

Peace it is until the emergence of dawn. 

یہ رات سراسرسلامتی کی ہوتی ہے اور فجر کے طلوع ہونے تک ( رہتی ہے ) ۔

Surah Qadar (97) Ayat 01 to 05
-------------
اِنَّاۤ  اَنۡزَلۡنٰہُ  فِیۡ  لَیۡلَۃٍ  مُّبٰرَکَۃٍ  اِنَّا کُنَّا مُنۡذِرِیۡنَ ﴿۳﴾ 

Yaqeenan hum ney issay ba-barkat raat mein utara hai be-shak hum daraney walay hain. 

Indeed, We sent it down during a blessed night. Indeed, We were to warn [mankind].

یقیناً ہم نے اسے بابرکت رات میں اتارا ہے بیشک ہم ڈرانے والے ہیں ۔ 
--------------------------------------------
فِیۡہَا یُفۡرَقُ کُلُّ  اَمۡرٍ  حَکِیۡمٍ ۙ﴿۴﴾ 

Issi raat mein her ek mazboot kaam ka faisla kiya jata hai.

On that night is made distinct every precise matter - 

اسی رات میں ہر ایک مضبوط کام کا فیصلہ کیا جاتا ہے ۔

44 : سورة الدخان 3 - 4
Surah Dukhan (44) Ayat 03-04
----------------
حَدَّثَنَا أَبُو الْيَمَانِ، قَالَ أَخْبَرَنَا شُعَيْبٌ، قَالَ حَدَّثَنَا أَبُو الزِّنَادِ، عَنِ الأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ يَقُمْ لَيْلَةَ الْقَدْرِ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ ‏"‏‏.‏
--------------
 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, jo shakhs shab qader imaan ke sath mehez sawab akhirat ke liye zikar o ibadat mein guzaray, is ke guzishta gunah bakhash diye jatay hain.
---------------
Narrated Abu Huraira:
Allah's Messenger (ﷺ) said, "Whoever establishes the prayers on the night of Qadr out of sincere faith and hoping to attain Allah's rewards (not to show off) then all his past sins will be forgiven."
----------------
رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا، جو شخص شب قدر ایمان کے ساتھ محض ثواب آخرت کے لیے ذکر و عبادت میں گزارے، اس کے گزشتہ گناہ بخش دئیے جاتے ہیں۔ 
-------------
Reference : Sahih al-Bukhari 35
In-book reference : Book 2, Hadith 28
USC-MSA web (English) reference : Vol. 1, Book 2, Hadith 35
---------------
عن أبي هُرَيْرَة مَرْفُوْعاً:  لَيْلَةُ الْقَدَر لَيْلَةَ سَابِعَة أَو تَاسِعَة وَعِشْرِين ، وَإِن الْمَلَائِكَةَ تِلْكَ اللَّيْلَة في الْأَرَض أَكْثَرُ من عَدَدِ الْحَصَى.
-------------
Abu Huraira se marwi hai ke: shab e qader sattayis ya atthayis raat hai. is raat zameen par farishton ki tadaad kankarion ki tadaad se ziyada hoti hai.
--------------
Abu Huraira reported that Prophet Muhammad (ﷺ) stated: “Verily, it is during the twenty-seventh or the twenty-ninth night. And verily, the angels who are on the earth during that night are more numerous than the number of pebbles.”
--------------
ابو ہریر سے مرفوعا مروی ہے كہ: شب قدر ستائیسویں یا انتیسویں رات ہے۔ اس رات زمین پر فرشتوں كی تعداد كنكریوں كی  تعداد سے زیادہ ہوتی ہے
----------------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2262
Urdu : Masnad Ahmad Vol 4 Hadith 3495

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...