Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 5 March 2020

Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ne kaunse shaqs ke liye farmaya jo chahae apna Noor khatam karle?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ne kaunse shaqs ke liye farmaya jo chahae apna Noor khatam karle?

A: Chori karne wala 
B: Wadu ke bagair namaz ada karne wala
C: joh andheron mein kabhi masjid nahi gaya
D: jis ka ek bhi baal safed nahi huwa
E: jis ne kabhi Tahajjud ki namaz nahi padhi
F: jin ki peshani par sajde ka nishaan nahi
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

******************

Sahi Jawab - G✅ (Joh Safed baal nochte hai)

Reference📚:
-----
Nabi Kareem Sallalahu Alahi WaSallam ne farmaya jo shakhs Allah ke rastay mein (aur ek rivayet mein hai Islam ke rastay mein) budha (safaid balon wala) hogaya, to yeh budhpa qayamat ke din is ke liye noor hoga, is waqt ek aadmi ne kaha kuch aadmi safaid balon ko noch letay hain? Aap Sallalahu Alahi wa Sallam ne farmaya jo shakhs chahay apna noor khatam karle 
------
فضالہ بن عبید رضی اﷲ عنہ سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو شخص اﷲ کے راستے میں (اور ایک روایت میں ہے اسلام کے راستے میں) بوڑھا (سفید بالوں والا) ہوگیا، تو یہ بڑھاپا قیامت کے دن اس کے لئے نور ہوگا، اس وقت ایک آدمی نے کہا: کچھ آدمی سفید بالوں کو نوچ لیتے ہیں؟ آپ نے فرمایا جو شخص چاہے اپنا نور ختم کرل
----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 179

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...