❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Neeche diye gaye sahabiya ya logo ko unse match kijiye jinse unki mushabihat hai
A: Dihya Al kalbi RadiAllahu Anhu
B: Urwah bin Masood Saqfi RadiAllahu Anhu
C: Abdullah uzzi
D: Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu
E: Hussain RadiAllahu Anhu
1. Isa Alaihi Salam
2. Dajjal
3. Rasool-Allah Sallalahu Alaihi WaSallam
4. Jibraiel Alaihi Salam
5. Musa Alaihi Salam
6. Ubai Bin Kaab RadiAllahu Anhu
7. Mahdi Alaihi Salam
8. Inmein se koi nahi
G. Sahi Jawab ka Intezaar
*******
Sahi Jawab - A4/B1/C2/D3/E/3✅
Reference📚:
--------
Aamir shoibi RadiAllahu Anhu se rivayat hai, kehte hain ke Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne umayya ke teen admion ko tashbeeh di, Dihya Al Kalbi RadiAllahu Anhu ko Jibraiel Alaihi Sallam se mushabihat di, Urwah bin Masood Saqfi RadiAllahu Anhu ko Isa bin Maryam Alaihi Sallam se tashbeeh aur Abdullah uzzi ko Dajjal se tashbeeh di.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3490
----
bilashuba sab logon se apni chaal dhaal aur waza aur seerat mein Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam se sab se ziyada mushaba Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu hain jab woh apne ghar se bahar nikaltay aur is ke baad dobarah apne ghar wapas anay taq un ka yahi haal rehta hai lekin jab woh akailey ghar mein rehtay to maloom nahi kya karte rehtay hain.
Sahih Bukhari Hadees # 6097
----
jab Hussain RadiAllahu Anhu ka sir mubarak Abaidullah bin Ziyad ke paas laya gaya aur aik tasht mein rakh diya gaya to woh badbakht is par lakri se maarny laga aur aap ke husn aur khoubsurti ke baarey mein bhi kuch kaha (ke mein neh is se ziyada khoobsurat chehra nahi dekha ) is par Anas RadiAllahu Anhu neh kaha Hussain RadiAllahu Anhu Rasool-Allah Sallalahu Alaihi Wasallam se sab se ziyada musahaba thy unhon neh «وسمة.»ka khittab istemaal kar rakha tha.
Sahih Bukhari Hadees # 3748
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment