❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zaiyda hain
Sawal: Kaunse se shaqs ke dil par zang yh siyah nuqta laga diya jata hain
A: Gunah karne wala
B: Gali dene wala
C: Sood ka maal khane wala
D: Jhooti qasam khake maal haasil karne wala
E: Jhooti gawahi dene wala
F: Yateemo ka maal khud ke liye haasil karne wala
G: Tohmat Lagane wale
H: Gheebat karne wale
I: Sahi Jawab ka Intezaar
****************
Sahi Jawab - AD✅
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallalahu Alahi wasallam ne farmaya jab momin koi gunah karta hai to is ke dil mein ek siyah nuqta (daagh) lag jata hai, agar woh tauba kare, baz aa jaye aur maghfirat talab kare to is ka dil saaf kar diya jata hai, aur agar woh (gunah mein) barhta chala jaye to phir woh dhabba bhi barhta jata hai, yeh wohi zang hai jis ka zikar Allah Subahnahu taala ny apni kitaab mein kiya hai «كلا بل ران على قلوبهم ما كانوا يكسبون» hargiz nahi balkay un ke buray aamaal ne unke dilon par zang pakar liya hai jo woh karte hain ( سورة المطففين: 14 )
-----
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 4244- Sahih
Rasool-Allah Sallalahu Alahi wasallam farma rahe they jis shakhs ny kisi musalman ka maal jhooti qasam ke zariye haasil kiya to ek siyah nuqta is ke dil mein lag jata hai qayamat taq koi cheez usay tabdeel nahi kar sakti.
------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 175 - Sahih
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Wo amal kaunsa hai jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ke woh sache dil se...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jab Allah Subhanhu bande ke saat bhalayee ka irada karta hain to usay duniya mein he jaldi saza deta hain ...
-
Bismillahirrahmannirrahim نَسُوا اللّٰہَ فَنَسِیَہُمۡ ------- Yh Allah ko bhool gaye toh Allah ne bhi inhe bhula diya. -...
No comments:
Post a Comment